Unke dar pe gaye dil ka haal bayaan karne..
kyun diya dard hume ye unse sawaal karne.
samjah nahi paye ki tadap to woh bhi rahi thi.
hum to lage the apni zid ko poora karne.
Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Kisi ki yadon ne paagal bana rakha hai;
kahin mar na jaayen .KAFAN sila rakha hai;
jalane se pehle DIL nikaal lena '
kahin woh na jal jaaye jo DIL me chhupa rakha hai.!!